samundar sab ke sab payab se hain

samundar sab ke sab payab se hain
kinaron par magar girdab se hain

tere khat mein jo ashkon ke nishan the
wahi ab kirmak-e-shab-tab se hain

chahak uthta hai saz-e-zindagani
tere alfaz bhi mizrab se hain

dilon mein karb badhta ja raha hai
magar chehre abhi shadab se hain

hamare zakhm raushan ho rahe hain
masiha is liye betab se hain

wo jugnu ho sitara ho ki aansu
andhere mein sabhi mahtab se hain

kabhi nashtar kabhi marham samajhna
mere ashaar bhi ahbab se hain

khushi tera muqaddar hogi 'akhtar'
ye imkan ab khayal-o-khwab se hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close