sari ummid rahi jati hai hae phir subh hui jati hai nind aati hai na wo aate hain raat guzri hi chali jati hai majma-e-hashr mein rudad-e-shabab wo sune bhi to kahi jati hai dastan puri na hone pai zindagi khatm hui jati hai wo na aae hain to bechain hai ruh abhi aati hai abhi jati hai zindagi aap ke diwane ki kisi surat se kati jati hai gham mein parwanon ke ek muddat se shama ghulti hi chali jati hai aap mahfil se chale jate hain dastan baqi rahi jati hai hum to 'bismil' hi rahe khair hui ishq mein jaan chali jati hai