shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun

shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun
sari tabiron ko khwabon se alag rakhta hun

jo padha hai use jina hi nahin hai mumkin
zindagi ko main kitabon se alag rakhta hun

us ki taqdis pe dhabba nahin lagne deta
daman-e-dil ko hisabon se alag rakhta hun

ye amal ret ko pani nahin banne deta
pyas ko apni sarabon se alag rakhta hun

us ke dar par nahin likhta main hisab-e-duniya
dil ki masjid ko kharabon se alag rakhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close