shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya

shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aaya
unhen dekha to zahid ne kaha iman ki ye hai
ki ab insan ko sajda rawa hone ka waqt aaya
khuda jaane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
khuda se kah raha hun na-khuda hone ka waqt aaya
hamein bhi aa pada hai doston se kaam kuchh yani
hamare doston ke be-wafa hone ka waqt aaya
nawed-e-sar-bulandi di munajjam ne to main samjha
sagan-e-dahr ke aage khuda hone ka waqt aaya
This is a great shayari himmat ki. True lovers of galib ki shayari sajan peshawari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dil fida shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close