shauq ka bar utar aaya hun

shauq ka bar utar aaya hun
aaj main us ko haar aaya hun
uf mera aaj mai-kade aana
yun to main kitni bar aaya hun
dosto dost ko sambhaala do
dur se pa-figar aaya hun
saf-e-akhir se lad raha tha main
aur yahan lash-war aaya hun
wahi dasht-e-azab-e-mayusi
wahin anjam-kar aaya hun