shikari ne rakkha thikana buland hadaf past-qamat nishana buland yahan zulm ki hain kamanden daraaz kahan tak karen aashiyana buland tere samne sar-ba-sajda hain log mera nam hai ghaebana buland samajh lijiye talkh guzra hai din agar hai nawa-e-shabana buland mujhe bolne ki ijazat nahin meri zat nichi zamana buland badi tez raftar hai umr ki khudara na kar taziyana buland meri chikh bhi kho gai hai 'raza' hua har taraf se tarana buland