shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun

shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun
main khud bhi khud ko sunna chahta hun

nahin mere liye kya aur koi
usi ka rasta kyun dekhta hun

usi sahil pe dubunga jahan se
samundar ka tamasha kar raha hun

charagh-e-shola-e-sar hun aur hawa mein
sar-e-diwar-e-jaan rakkha hua hun

guzarna hai jise sahra se ho kar
main us dariya ke dukh se aashna hun

visal-e-yar ki khwahish mein aksar
charagh-e-sham se pahle jala hun

ghunuda saaton ki shab se 'tishna'
tawaf-e-ariz-o-lab kar raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close