shikwa karne se koi shaKHs KHafa hota hai

shikwa karne se koi shakhs khafa hota hai
aur shikwa nahin karta to gila hota hai

hashr jis se dil-e-mutrib mein bapa hota hai
sirf ek naghma-e-be-saut-o-sada hota hai

nind aati nahin jis raat tujhe ai dil-e-zar
shayad us raat koi jag raha hota hai

yun hai wahshat-kada-e-dil mein teri yaad ai dost
jaise sahra mein koi phul khila hota hai

ruh-e-shair se ubharta hai surud-e-abadi
ain us waqt ki dil dub raha hota hai

dekh to kaun khud-ara hai pas-e-parda-e-rang
tukma-e-gul to faqat band-e-qaba hota hai

aur badh jati hai kuchh lafz-o-bayan ki tasir
lafz jab ashk ki surat mein ada hota hai

gamzan ruh hui wadi-e-khamoshan mein
khatm aakhir safar-e-koh-e-nida hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close