silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin

silsila ab bhi khwabon ka tuta nahin
kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin

hain fasilon se uljhe hue sar-phire
dur tak koi shahr-e-tamanna nahin

sham se hi gharon mein padin kundiyan
chand is shahr mein kyun nikalta nahin

aag lagne ki khabren to pahunchin magar
koi hairat nahin koi chaunka nahin

chhin kar mujh se le jae mera badan
mo'tabar itna koi andhera nahin

kya yahi milte rahne ka inam hai
ek khidki nahin ek jharoka nahin

ek manzar mein lipte badan ke siwa
sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin

tez ho jaen is ka to imkan hai
aandhiyan ab ruken aisa lagta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close