sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata ki qatl karna ho jis ko kaha nahin jata ye kam hai kya ki mere pas baitha rahta hai wo jab talak mere dil ko dukha nahin jata tumhein to shahr ke aadab tak nahin aate ziyaada kuchh yahan puchha-guchha nahin jata bade azab mein hun mujh ko jaan bhi hai aziz sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jata bharam sarab-e-tamanna ka kya khula mujh par ab ek gam bhi mujh se chala nahin jata ajib log hain dil mein khuda se munkir hain magar zaban se zikr-e-khuda nahin jata uda ke khak bahut main ne dekh li ai 'zeb' wahan talak to koi rasta nahin jata