sitara to kabhi ka jal-bujha hai

sitara to kabhi ka jal-bujha hai
ye aansu sa teri palkon pe kya hai

darakhton ko to chup hona tha ek din
parindon ko magar kya ho gaya hai

dhanak diwar ke raste mein hail
wagarna jast-bhar ka fasla hai

use band aankh se main dekh to lun
magar phir umr-bhar ka fasla hai

chalo apni bhi jaanib ab chalen hum
ye rasta der se suna pada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close