sote hain phail phail ke sare palang par

sote hain phail phail ke sare palang par
hum chup alag pade hain kinare palang par

afshan ke zarre dekh ke sare palang par
samjha main lotte hain sitare palang par

puchho na mujh se shiddat-e-dard-e-shab-e-firaq
tadpa kiya main raat ko sare palang par

lipte hue pade rahe patti se hum alag
soya kiye wo chain se sare palang par

bechain ho ke farsh pe lag jaegi jo aankh
chaliye khuda ke waste pyare palang par

us mah baghair nind na aai tamam raat
lete hue gina kiye tare palang par

toshak ke phul ban gae angare hijr mein
dahka ki ek aag si sare palang par

qismat hai aage wasl mayassar ho ya na ho
aae to minnaton se wo bare palang par

izaen subh-e-hijr ki kahne bhi hum na pae
wo sham hi se aaj sidhaare palang par

bahar hua main jame se apne shab-e-visal
kapde jo us ne apne utare palang par

us mah-ru ki did ka allah re ishtiyaq
gardun se tute padte hain tare palang par

shab ko khajil thi us ki safedi se chandni
chadar kasi thi aisi tumhaare palang par

furqat ki raat ro ro ke dariya baha diye
takiye bane nahang hamare palang par

patti ke niche baitha raha raat-bhar 'qalaq'
rakkha qadam na khauf ke mare palang par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close