sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha

sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to thahar hi jaana tha

jo iztirab ka mausam guzar aaen hain
wo jaante hain ki wahshat ka kya zamana tha

wo jin ko shikwa tha auron se zulm sahne ka
khud un ka apna bhi andaz jarehana tha

bahut dinon se mujhe intizar-e-shab bhi nahin
wo rut guzar gai har khwab jab suhana tha

kab us ki fath ki khwahish ko jit sakti thi
main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close