suna hai ek jahan is jahan se pahle tha

suna hai ek jahan is jahan se pahle tha
ajab jahan tha agar aasman se pahle tha

agarche sajde hain mamnun aastan lekin
mazaq-e-sajda mujhe aastan se pahle tha

tumhin kaho kabhi tum ne suna tha khush ho kar
tumhaara zikr jo mere bayan se pahle tha

qubul-e-khatir-e-ushshaq ho ke rah na gaya
tera fasana meri dastan se pahle tha

na shauq-e-rahzani-e-dil na zauq-e-ghaarat-e-jaan
ajab tariq mere karwan se pahle tha

bahaar thi na khizan barq thi na tha sayyaad
chaman na tha jo mere aashiyan se pahle tha

isi jahan ko inkar tha qayamat ka
yahi jahan jo ek naujawan se pahle tha

kuchh is tarah hai mujhe dard-e-ishq ka ehsas
ye jaise mujh ko yunhi jism-o-jaan se pahle tha

wo naz ban ke phir aakhir niyaz ho ke raha
unhen ghurur jo meri fughan se pahle tha

zahe wo bazm ki hota hai roz ye mahsus
ki jaise koi talluq yahan se pahle tha

hunuz dil mein usi shadd-o-mad se hai 'bismil'
wo hausla jo mujhe imtihan se pahle tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close