suraj ne jab shab ka labaada pahan liya tha har ek shai ne apna saya pahan liya tha apna uryan jism chhupane ki koshish mein tez hawa ne patta patta pahan liya tha matami kapde pahan liye the meri zamin ne aur falak ne chand sitara pahan liya tha sara shahr sharik hua tha us ke dukh mein jis din us ne gham ka lamha pahan liya tha mayusi ke aalam mein bhi ai 'khurshid' hum ne ek umid ka rasta pahan liya tha