tamam marhala-e-fard-o-zat hona hai salib chadhne se pahle salib dhona hai hazar bar yazidon se samna hoga hazar bar mujhe yun hi qatl hona hai abhi wo dagh-e-gareban pe tabsira na kare abhi to khud use sabun se hath dhona hai sulagti aag ke jangal ka ek shajar hun main mera wajud yaqinan sarab hona hai hamare log asiran-e-shoabada-bazi hamare shahr mein danish-wari ka rona hai ye jins-e-jaan ki abhi raegan nahin 'mohsin' kured pao to mitti tamam sona hai