tamam umr ki tanhaiyon pe bhaari thi

tamam umr ki tanhaiyon pe bhaari thi
wo ek sham tere sath jo guzari thi

ufuq pe likhta raha aaftab tahriren
magar bayaz-e-zamin raushni se aari thi

safir-e-subh ki aahat pe ho gai bedar
ghunudgi mein jo khwabida shab-khumari thi

usi ne kar diya paiwast pith mein khanjar
wo shakhs jis ki rifaqat se pith bhaari thi

dil-o-dimagh ne phir hashiye tarash liye
kai dinon se tabiat mein na-gawari thi

jo baat tark-e-talluq ke mod tak pahunchi
khata tumhaari nahin thi khata hamari thi

jawab de diye 'salim' hayat ne mujh ko
magar sawaliya ek ek jawab-dari thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close