tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai

tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai
gulistan se magar udta dhuan kuchh aur kahta hai

baham kuchh sazishen phir ho rahi hain barq-o-baran mein
har ek tair se lekin aashiyan kuchh aur kahta hai

samajhte hain khuda-malum kya kuchh karwan wale
zaban mein apni mir-e-karwan kuchh aur kahta hai

na phulo is tarah se naghma-e-murgh-e-khush-ilhan par
tumhein aawaza-e-bang-e-azan kuchh aur kahta hai

magar mahrum zahid ho gaya hai gosh-e-shanwa se
use but-khane mein husn-e-butan kuchh aur kahta hai

ye khush-fahmi ki kuchh samjhe hue hain anjuman wale
magar har ek se rang-e-dastan kuchh aur kahta hai

thahar ja han thahar ja jaane wale is ko sunta ja
ba-haal-e-naza tera nim-jaan kuchh aur kahta hai

mukhalif us ke kuchh kuchh aa rahi hain dil ki aawazen
magar hum se hijab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai

na rahna chahiye gulshan mein marub-e-khizan ho kar
ki hum se aaj rang-e-gulistan kuchh aur kahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close