tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin

tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin
ye raaz fash hai han se nahin main han mein nahin
jo la-makan hai muqayyad kisi makan mein nahin
tayyunat nishan mein hain be nishan mein nahin
sifat jalwa-gah-e-zat hai tajalli-e-husn
ye jism jalwa-gah-e-jaan hai nur-e-jaan mein nahin
zaban-e-haal se hai kaif-e-be-khudi goya
ye wo zamin hai ki jis ka nishan zaman mein nahin
farogh-e-hasti-e-mutlaq hai jalwa-e-pindar
hijab-e-hasti-e-mauhum darmiyan mein nahin
nishan yaqin ka do-alam mein qalb-e-sakin hai
qarar wahm mein aasudgi guman mein nahin
meri fasurda-dili ne nae khilae hain gul
nahin ki mausam-e-gul mausam-e-khizan mein nahin
main nang-e-dehli hun nang-e-sukhan-waran 'sahir'
asatiza ki zaban kya karun dahan mein nahin