tere suraj ko teri sham se pahchante hain

tere suraj ko teri sham se pahchante hain
zindagi hum tujhe anjam se pahchante hain

kis qadar dhup kamata hai yahan koi ise
raunaq-e-mashghala-e-sham se pahchante hain

ishq wale to uthate hi nahin apni nigah
husn ko husn ke ahkaam se pahchante hain

khas andaz se khat likhta hai wo parda-nashin
hum use nudrat-e-paigham se pahchante hain

kaun karta hai pas-e-parda-e-aina kalam
aks ko hairat-e-ilham se pahchante hain

sakht taklif uthai hai use jaanne mein
is liye ab use aaram se pahchante hain

sach phate haal sa phirta hai gali-kuchon mein
sach ko aksar isi anjam se pahchante hain

main ne tardid to bheji thi pa shae na hui
ahl-e-shahr ab mujhe ilzam se pahchante hain

kaise naqqad hain ye itni badi shairi ko
bas riayat se iham se pahchante hain

'farhat-ehsas' kabhi ghar se nikalta hi nahin
shahr wale use bas nam se pahchante hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close