tha aasman par jo sitara nahin raha yaadash-ba-khair ab wo hamara nahin raha jo din guzar gae wo guzar hi gae so ab yaadon ke ma-siwa koi chaara nahin raha sail-e-rawan mein gum hai nishan-e-muhit-e-ab ai mauj-e-muztarib wo kinara nahin raha tanha the jab to aankh ke aansu bhi dil mein the wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha