titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang

titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang
hum ne har ek rang ko jaana tere aanchal ka rang

teri aankhon ki chamak hai ya sitaron ki ziya
raat ka hai ghup andhera ya tere kajal ka rang

dhadkanon ke tal par wo haal apne dil ka hai
jaise gori ke thirakte panw mein pael ka rang

phenkna tum soch kar lafzon ka ye kadwa gulal
phail jata hai kabhi sadiyon pe bhi ek pal ka rang

aah ye rangin mausam khun ki barsat ka
chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang

ab to shabnam ka har ek moti hai kankar ki tarah
han usi gulshan pe chhaya tha kabhi makhmal ka rang

phir rahe hain log hathon mein liye khanjar khule
kuche kuche mein ab aata hai nazar maqtal ka rang

chaar jaanib jis ki ranai ke charche hain 'qatil'
jaane kab dekhenge hum us aane wali kal ka rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close