uDti rahti thi sada KHitta-e-viran mein KHak

udti rahti thi sada khitta-e-viran mein khak
aa gai chupke se ab ke mere dalan mein khak

mutmain tha main ki aandhi ko thame arsa hua
ghaur se dekha to qabiz thi dil-o-jaan mein khak

khwahishen chaak pe rakkhi hain ki surat ubhre
gard ke sath mili hai mere arman mein khak

jis ko bhi dekho wo bad-haal nazar aata hai
ab to dakhil hui insan ke iman mein khak

bhagti-daudti duniya mein kise fursat hai
jamti jati hai yahan mir ke diwan mein khak

jaane kya guzrega ab qais pe allah jaane
ret sahra mein nahin aur na bayaban mein khak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close