uga sabza dar-o-diwar par aahista aahista hua khali sadaon se nagar aahista aahista ghira baadal khamoshi se khizan-asar baghon par hile thandi hawaon mein shajar aahista aahista bahut hi sust tha manzar lahu ke rang lane ka nishan aakhir hua ye surkh-tar aahista aahista chamak zar ki use aakhir makan-e-khak mein lai banaya sanp ne jismon mein ghar aahista aahista mere bahar fasilen thin ghubar-e-khak-o-baran ki mili mujh ko tere gham ki khabar aahista aahista 'munir' is mulk par aaseb ka saya hai ya kya hai ki harakat tez-tar hai aur safar aahista aahista