ujala dasht-e-junun mein badhana padta hai kabhi kabhi hamein khema jalana padta hai ye maskharon ko wazife yunhi nahin milte rais khud nahin hanste hansana padta hai badi ajib ye majburiyan samaj ki hain munafiqon se talluq nibhana padta hai alawa rah-e-qalandar tamam duniya mein kisi bhi rah se guzro zamana padta hai shikastagi mein bhi kya shan hai imarat ki ki dekhne ko ise sar uthana padta hai kisi ke aib chhupana sawab hai lekin kabhi kabhi koi parda uthana padta hai ghazal ka sher to hota hai bas kisi ke liye magar sitam hai ki sab ko sunana padta hai