ujla tera bartan hai aur saf tera pani ek umr ka pyasa hun mujh ko bhi pila pani hai ek khat-e-nadida dariya-e-mohabbat mein hota hai jahan aa kar pani se juda pani donon hi to sachche the ilzam kise dete kanon ne kaha sahra aankhon ne suna pani kya kya na mili mitti kya kya na dhuan phaila kala na hua sabza maila na hua pani jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai sahil ne bahut puchha khamosh raha pani phir dekh ki ye duniya kaisi nazar aati hai 'mushtaq' mai-e-gham mein thoda sa mila pani