uljhe kanTon se ki khele gul-e-tar se pahle

uljhe kanton se ki khele gul-e-tar se pahle
fikr ye hai ki saba aae kidhar se pahle

jam-o-paimana-o-saqi ka guman tha lekin
dida-e-tar hi tha yan dida-e-tar se pahle

abr-e-naisan ki na barakat hai na faizan-e-bahaar
qatre gum ho gae tamir-e-guhar se pahle

jam gaya dil mein lahu sukh gae aankhon mein ashk
tham gaya dard-e-jigar rang-e-sahar se pahle

qafile aae to the naron ke parcham le kar
sar-nigun ho gai har aah asar se pahle

khun-e-sar bah gaya maut aa gai diwanon ko
barish-e-sang se tufan-e-sharar se pahle

surkhi-e-khun-e-tamanna ki mahak aati hai
dil koi tuta hai shayad gul-e-tar se pahle

maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut
dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close