us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar zindagi apni is arman mein barbaad na kar gila-e-zaur na kar shikwa-e-bedar na kar zulm sahne ka maza ye hai ki fariyaad na kar khalwat-e-dil hai tere aa ke thaharne ki jagah teri marzi use barbaad kar aabaad na kar baghban tak mein hai ghat mein sayyaad hai dekh sair-e-gulshan abhi ai bulbul-e-nashad na kar kuchh tadapne ka sisakne ka maza lene de itni tajil mere qatl mein jallad na kar ab mujhe taqat-e-parwaz nahin ai sayyaad rahne de qaid qafas se mujhe aazad na kar upri dil se sahi kuchh to tasalli ho jae saf inkar se zalim mujhe nashad na kar dar-e-mahbub tak ai bakht mujhe pahuncha de aur kuchh us se siwa tu meri imdad na kar be-dhadak jaan sabhi ahl-e-wafa dete hain tu faqat midhat-e-jabazi-e-farhad na kar gham-e-dildar ne rag rag ka lahu chus liya mujh se ab chhed tu ai nashtar-e-faulad na kar lakh dushwar sahi zabt-e-fughan ai bulbul magar ek uf bhi to be-marzi-e-sayyaad na kar sadma-e-hijr ke shikwon pe wo bole shab-e-wasl gai guzri hui baaton ko tu ab yaad na kar ai dil us shokh ki taswir tasawwur mein to khinch kaam mani se na rakh minnat-e-bahzad na kar 'asi'-e-be-sar-o-saman ko pada rahne de apne kuche se utha kar use nashad na kar