wahi jo haya thi nigar aate aate

wahi jo haya thi nigar aate aate
bata tu hi ab hai wo pyar aate aate

na maqtal mein chal sakti thi tegh-e-qatil
bhare itne ummid-war aate aate

ghati meri roz aane jaane se izzat
yahan aap khoya wiqar aate aate

jagah do to main is mein turbat bana lun
bhara hai jo dil mein ghubar aate aate

abhi ho ye fitna to kya kuchh na hoge
jawani ke lail-o-nahaar aate aate

ghadi hijr ki kash ya rab na aati
qayamat ke lail-o-nahaar aate aate

khabar deti hai yaad karta hai koi
jo bandha hai hichki ne tar aate aate

phir aae jo tum mehrban jate jate
phiri gardish-e-rozgar aate aate

azal se abad ko to jaana tha 'afsar'
chale aae hum us dayar aate aate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close