wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha

wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha
dil ko magar yaqin kisi par hua na tha

hum ko to ehtiyat-e-gham-e-dil aziz thi
kuchh is liye bhi kam-nigahi ka gila na tha

dast-e-khayal-e-yar se phute shafaq ke rang
naqsh-e-qadam bhi rang-e-hina ke siwa na tha

dhunda use bahut ki bulaya tha jis ne pas
jalwa magar kahin bhi sada ke siwa na tha

kuchh is qadar thi garmi-e-bazar-e-arzu
dil jo kharidta tha use dekhta na tha

kaise karenge zikr-e-habib-e-jafa-pasand
jab nam doston mein bhi lena rawa na tha

kuchh yun hi zard zard si 'nahid' aaj thi
kuchh odhni ka rang bhi khilta hua na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close