wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai

wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai
sukhan wahi dil-e-andoh-gin mein hoti hai

koi wo shak ka andhera ki jis ki jast ke baad
chamak si silsila-ha-e-yaqin mein hoti hai

bahaar chaak-e-gareban mein thahr jati hai
junun ki mauj koi aastin mein hoti hai

wo khak anjum o mahtab ko nasib nahin
jo mauj marg o numu ki zamin mein hoti hai

ghunuda din-e-buzurgan mein ab wo lau na rahi
jo ahd-e-nau ke gham-e-atishin mein hoti hai

ye raat tair-e-hijrat-zada ghanimat hai
tulu-e-subh sawad-e-kamin mein hoti hai

kabhi kabhi to harifana koi aatish-e-sang
farogh pa ke libas-e-nagin mein hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close