wo ho kaisa hi dubla tar bistar ho nahin sakta

wo ho kaisa hi dubla tar bistar ho nahin sakta
ghalat hai aadmi is tarah laghar ho nahin sakta

kabhi aansu ka qatra misl-e-gauhar ho nahin sakta
ghalat hai abr-e-naisan dida-e-tar ho nahin sakta

miyan majnun hon chahe kohkan ho donon khabti the
kisi ka kuchh bhi un se khak patthar ho nahin sakta

kamar jis ke na ho wo bar se kyun kar chalega phir
khilaf-e-aql hai ye is tarah par ho nahin sakta

kaho phir ye kamar moti hai sar chhota hai dilbar ka
nahin to phir qad-e-jaanan sanobar ho nahin sakta

wo khatt-e-shauq ke jitne pulande chahe le jae
mulazim dak-khane mein kabutar ho nahin sakta

'zarif' aaina de kar darwin-sahab ko samjha do
na ho jab tak sharir insan bandar ho nahin sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close