wo nahin uski magar jadugari maujud hai

wo nahin us ki magar jadugari maujud hai
ek sahar-alud mujh mein be-khudi maujud hai

saf-ba-saf dushman hi dushman hain mere chaaron taraf
hausla dekho ki phir bhi zindagi maujud hai

bujh gai hai bastiyon ki aag ek muddat hui
zehn mein lekin abhi tak shoalagi maujud hai

baad-e-sarsar chal rahi hai aur us ke bawajud
phir bhi shamon mein abhi tak raushni maujud hai

hai ajab eajaz ye us ki mohabbat ka 'zafar'
jagti aankhon mein khwab-e-zindagi maujud hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close