wo ratjaga tha ki afsun-e-khwab tari tha diye ki lau pe sitaron ka raqs jari tha main us ko dekhta tha dam-ba-khud tha hairan tha kise khabar wo kada waqt kitna bhaari tha guzarte waqt ne kya kya na chaara sazi ki wagarna zakhm jo us ne diya tha kari tha dayar-e-jaan mein badi der mein ye baat khuli mera wajud hi khud nang dost-dari tha kise bataun main apni nawa ki ramz 'akhtar' ki harf jo nahin utre main un ka qari tha