yaqin barson ka imkan kuchh dinon ka hun

yaqin barson ka imkan kuchh dinon ka hun
main tere shahr mein mehman kuchh dinon ka hun
phir is ke baad mujhe harf harf hona hai
tumhaare hath mein diwan kuchh dinon ka hun
kisi bhi din ise sar se utar phenkunga
main khud pe bojh meri jaan kuchh dinon ka hun
zamin-zade meri umr ka hisab na kar
utha ke dekh le mizan kuchh dinon ka hun
mujhe ye dukh hai ki hasharaat-e-gham tumhaare liye
main khurd-o-nosh ka saman kuchh dinon ka hun
This is a great bin bulaye mehman shayari. Please share if you liked this!!!