ye ajab saat-e-ruKHsat hai ki Dar lagta hai

ye ajab saat-e-rukhsat hai ki dar lagta hai
shahr ka shahr mujhe rakht-e-safar lagta hai
hum ko dil ne nahin haalat ne nazdik kiya
dhup mein dur se har shakhs shajar lagta hai
jis pe chalte hue socha tha ki laut aaunga
ab wo rasta bhi mujhe shahr-badar lagta hai
mujh se to dil bhi mohabbat mein nahin kharch hua
tum to kahte the ki is kaam mein ghar lagta hai
waqt lafzon se banai hui chadar jaisa
odh leta hun to sab khwab hunar lagta hai
ek muddat se meri man nahin soi 'tabish'
main ne ek bar kaha tha mujhe dar lagta hai
This is a great me aaunga shayari. True lovers of badar shayari urdu will love this. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close