ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha

ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha
jo chhinne mein maza hai wo kab sawal mein tha

kis aaftab ki aahat se shahr jag utha
wagarna main bhi kahin mast apne haal mein tha

tere bayan ne dikhaya jo aaina to khula
ki har shuur mere gosha-e-khayal mein tha

mere safar ke liye roz-o-shab bane hi nahin
tumhin kaho ki main kab qaid-e-mah-o-sal mein tha

ragon mein reg-e-rawan tha gurez-pai ka
lahu asir ajab khwahishon ke jal mein tha

mere gurez ne ahd-e-sitam ko tul diya
ye eqtidar to kab se yunhi zawal mein tha

ajib lams ki lazzat hai meri banhon mein
wahi maza hai jo us khwab ke visal mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close