ye ji mein aata hai jal jal ke har zaman naseh

ye ji mein aata hai jal jal ke har zaman naseh
ki aag le ke jala dun teri zaban naseh

na mana ishq-e-majazi se kar mujhe nadan
yahi hai baam-e-haqiqat ki nardban naseh

main tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karun kyunkar
samajh ke mujh ko nasihat karo miyan naseh

zalil hoga tu ek roz pand-e-beja se
tujhe kharab karegi teri zaban naseh

khuda ke waste bak bak ke mera maghz na kha
na tark hogi kabhi ulfat-e-butan naseh

baja-e-pand dilata hai husn par raghbat
hazar shukr ki paya mizaj-dan naseh

qubul itaat-e-pir-e-mughan badal karna
hamari tarah se hota agar jawan naseh

nasihat un ki kahani ki tarah sunta hun
main jaanta hun ki hai ek qissa-khwan naseh

jahan hasin nazar aaya koi pise wahin hum
hamare sath phirega kahan kahan naseh

zaif ho ke samajhta nahin tajjub hai
karun shabab mein tark ulfat-e-butan naseh

karam kiya hai gham-e-ishq ne mere dil mein
main kis tarah na karun pas-e-mehman naseh

hum aap band kiya karte hain hazaron ko
hamare samne kholega kya zaban naseh

buton ka kalima padhe tu abhi hamari tarah
kamal-e-ishq agar pukhta ho ayan naseh

main wo hun aashiq-e-diwana gar mujhe ki pand
ba-rang-e-jaib uda dunga dhajjiyan naseh

kahin hamari tarah ye bhi phans gaya shayad
kuchh aaj-kal hai bahut hum pe mehrban naseh

'qalaq' na harf-e-nasihat zaban pe lae wo phir
jo sun le meri mohabbat ki dastan naseh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close