ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai jise fazilat-e-tanhai ne ubhaara hai kahin suragh nahin hai kisi bhi qatil ka lahuluhan magar shahr ka nazara hai main ja raha hun mukammal wajud pane ko mujhe bhi surat-e-imkan ne ab pukara hai wo hans ke har shab-e-zulmat kat dete hain wo jin ke sine mein aflak ka sipara hai charagh jalta rahega hamesha ulfat ka yahi wajud ke anwar ka ishaara hai ye kaisi surat-e-mahtab khul rahi hai magar zamin pe kis ne ise arsh se utara hai ana-shikar pe zahir ye kab hua 'azhar' use nibhane mein taqdir ka khasara hai