ye KHaki aag se ho kar yahan pe pahuncha hai

ye khaki aag se ho kar yahan pe pahuncha hai
khamir utha tha jahan se wahan pe pahuncha hai

nigah-e-husn ne tartib ulti kar dali
ki tir nikla nazar se kaman pe pahuncha hai

abhi talak jo fida-e-ba-nam-e-ishq raha
jo hosh aaya to sud-o-ziyan pe pahuncha hai

main zahiran to sukhan se ba-khub waqif hun
darun ka aks agarche ziyan pe pahuncha hai

khizan-e-hijr mein gulshan mein phul khilne lage
gazand ye bhi dil-e-na-tawan pe pahuncha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close