ye kis rashk-e-masiha ka makan hai zamin yan ki chahaarum aasman hai khuda pinhan hai aalam aashkara nihan hai ganj virana ayan hai dil-e-raushan hai raushan-gar ki manzil ye aaina sikandar ka makan hai takalluf se bari hai husn-e-zati qaba-e-gul mein gul-buta kahan hai pasijega kabhi to dil kisi ka hamesha apni aahon ka dhuan hai ba-rang-e-bu hun gulshan mein main bulbul baghal ghunche ke mera aashiyan hai shagufta rahti hai khatir hamesha qanaat bhi bahaar-e-be-khizan hai chaman ki sair par hota hai jhagda kamar meri hai dast-e-baghban hai bahut aata hai yaad ai sabr-e-miskin khuda khush rakkhe tujh ko tu jahan hai ilahi ek dil kis kis ko dun main hazaron but hain yan hindostan hai yaqin hota hai khushbui se is ke kisi gul-ru ka ghuncha itr-dan hai watan mein apne ahl-e-shauq ki tarah safar mein roz-o-shab reg-e-rawan hai sahar howe kahin shabnam kare kuch gul o bulbul ka dariya darmiyan hai saadat-mand qismat par hain shakir huma ko maghz-e-baadam ustukhwan hai dil-e-betab jo is mein gire hain zaqan jaanan ka para ka kuan hai jaras ke sath dil rahte hain nalan mere yusuf ka aashiq karwan hai na kah rindon ko harf-e-sakht waiz durusht ahl-e-jahannum ki zaban hai qad-e-mahbub ko shaer kahen sarw qayamat ka ye ai 'atish' nishan hai