ye lamha zist ka hai bas aaKHiri hai aur main hun

ye lamha zist ka hai bas aakhiri hai aur main hun
har ek samt se ab wapsi hai aur main hun

hayat jaise thahar si gai ho ye hi nahin
tamam biti hui zindagi hai aur main hun

main apne jism se bahar hun aur hosh bhi hai
zamin pe samne ek ajnabi hai aur main hun

wo koi khwab ho chahe khayal ya sach ho
faza mein udti hui chandni hai aur main hun

kisi maqam pe rukne ko ji nahin karta
ajib pyas ajab tishnagi hai aur main hun

akela ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin
bas ek aalam-e-diwangi hai aur main hun

na lafz hai na sada phir bhi kya nahin wazeh
kalam karti hui khamushi hai aur main hun

surur-o-kaif ka aalam hadon ko chhuta hua
khudi ka nashsha hai kuchh aagahi hai aur main hun

muqabil apne koi hai zarur kaun hai wo
bisat-e-dahr hai bazi bichhi hai aur main hun

jahan na sukh ka hai ehsas aur na dukh ki kasak
usi maqam pe ab shairi hai aur main hun

mere wajud ko apne mein jazb karti hui
nai nai si koi raushni hai aur main hun

jo chand lamhon mein guzra bata diya sab kuchh
phir us ke baad wahi zindagi hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close