ye manzar ye rup anokhe sab shahkar hamare hain

ye manzar ye rup anokhe sab shahkar hamare hain
hum ne apne khun-e-jigar se kya kya naqsh ubhaare hain

sadiyon ke dil ki dhadkan hai un ki jagti aankhon mein
ye jo falak par hansmukh chanchal jagmag jagmag tare hain

ek zara si bhul pe hum ko itna tu badnam na kar
hum ne apne ghao chhupa kar tere kaj sanware hain

kuchh baaten kuchh raaten kuchh barsaten apna sarmaya
mazi ke andhiyare mein ye jalte dip hamare hain

ek jahan ki khoj mein apne pyar ki nagri chhod aae
aur zamana ye samjha hum pyar ki bazi haare hain

sab se hans kar milne wale hum ko kisi se bair nahin
duniya hai mahbub hamein aur hum duniya ko pyare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close