ye sidhe jo ab zulfon wale hue hain

ye sidhe jo ab zulfon wale hue hain
hamare hi sab bal nikale hue hain

tabassum-faza mere nale hue hain
zara shokh ab sharm wale hue hain

mere hath par khele hain afi-e-zulf
ye sanp aastinon ke pale hue hain

nahin hum ko laghzish ka dar mai-kade mein
ki do do farishte sambhaale hue hain

ulajhte hain sote mein zulfon se kya kya
wabaal un ko kanon ke baale hue hain

chhupa kar bahut pi hai masjid mein waiz
ye zarf-e-wuzu sab khangale hue hain

shab-e-wasl bole na ab dil mein aaen
jo arman mere nikale hue hain

alag hai khudai se kuchh sakht un ki
ye but aur sanche mein dhaale hue hain

jo yaad ab tak aate hain ahl-e-chaman ko
qafas mein wahi naghme nale hue hain

kisi par dam-e-hashr kya aankh dalun
hasin sab mere dekhe-bhaale hue hain

junun rang laya hai phir fasl-e-gul mein
nahin lala sab zakhm aale hue hain

charagh ab shab-e-wasl jalne na denge
wo gesu jo bal kha ke kale hue hain

nazakat ne teri giraya nazar se
sab kitne bhaari doshaale hue hain

ye ai shaikh gumbad nahin masjidon mein
khum-e-mai hamare uchhaale hue hain

bhari bazm mein lutf-e-khalwat nahin hai
wo nashshe mein hain hum sambhaale hue hain

ye kahti hai mast aankh un ki shab-e-wasl
kai aaj khali pyale hue hain

bahe hain jo furqat mein aankhon se meri
wo dariya to aankhen nikale hue hain

are kanto jo ashk mizhgan se tapke
wahi panw pad pad ke chhaale hue hain

subu aab-e-zamzam se dho kar bhari mai
achhute hain jitne khangale hue hain

jawani mein kyun sar uthaen na gesu
ki ab dasne wale ye kale hue hain

wo mahshar mein kya aib kholenge mere
jo rahmat se ab parda dale hue hain

suna hai 'riyaz' apni dadhi badha kar
budhape mein allah wale hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close