zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai

zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai
sanwarne ke liye apna ghar bhi rakhna hai

hawa se aag se pani se muttasil rah kar
inhin se apni tabahi ka dar bhi rakhna hai

makan banate hue chhat bahut zaruri hai
bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai

ye kya safar ke liye hijraten jawaz banen
jo wapsi ka ho aisa safar bhi rakhna hai

hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko
so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai

hawa ke rukh ko badalna agar nahin mumkin
hawa ki zad pe safar ka hunar bhi rakhna hai

nishan-e-rah se badh kar hain khwab manzil ke
inhen bachana hai aur rah par bhi rakhna hai

jawaz kuchh bhi ho itna to sab hi jaante hain
safar ke sath jawaz-e-safar bhi rakhna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close