zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha

zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha
koson dur se babul ka raushan minar chamakta tha

ghaar ki rangin taswiron ko aur zamane dekhenge
hum ne bas wo naqsh kiya jo us lamhe ban sakta tha

ek shaffaf dariche mein kuchh rang birange manzar the
gul-danon mein phul farozan aatish-dan bhadakta tha

main jis masnad par tha wo to ek goshe mein rakkhi thi
aur daricha chupke se manzar ki samt sarakta tha

barish chhappar tez hawaen misri jaise sindhi git
yar sarae ke chulhe par mitha qahwa pakta tha

jangal ganw parinde insan qisse mein sab lakhon the
sayyare ka suraj lekin tanhai mein yakta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close