zara dekhna khaksari hamari mili khak mein khak sari hamari use hashr mein ai khizar dekh lenge agar zindagi hai tumhaari hamari ye kahte hain mizhgan-e-tar ko dikha kar bujhi zahr mein hai katari hamari wabaal-e-jahan hain ye aalam ke upar mare par bhi hai lash bhaari hamari hamein tum ho ruh-e-rawan se ziyaada tumhein kuchh nahin jaan pyari hamari baham rah saken kis tarah aag pani nibhe dosti kya tumhaari hamari mare par bhi ai 'shad' taqdir bigdi kisi ne na uqba sanwari hamari