zat ki diwar bichon-bich ek dar wa hua

zat ki diwar bichon-bich ek dar wa hua
aakhiri lamhon mein gar ho bhi gaya to kya hua

raqs mein madhosh ghaugha-e-surud-o-lai mein gum
kaun hai ye shiddat-e-azar se hansta hua

teri meri aankh ki mitti hamesha nam rahe
ho abad se bhi pare rukhsat ka pul phaila hua

baad az yak saat khamosh matam khatm shud
kyun kisi ke sog mein rukta zaman chalta hua

mere shanon par rida-e-abru-e-ishq hai
barish-e-namus-e-ulfat mein hai dil bhiga hua

wo ruka ruk kar muda mud kar meri jaanib jhuka
umr ka dariya wahin tham sa gaya bahta hua

meri peshani pe daen hath ki angusht se
ek khush-qamat ne apna nam hai likkha hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close