zauq-e-nazzara liye hum bhi KHabar tak aae

zauq-e-nazzara liye hum bhi khabar tak aae
shab ke pahlu se uthe aur sahar tak aae

bu-e-gul baad-e-saba raqs-e-sharar tak aae
rang hona tha hamein khun-e-jigar tak aae

abr-e-rahmat hai to shabnam ki tarah se utre
rang-e-khushbu ki hawa arz-e-hunar tak aae

is se pahle hi baras jata hai ek abr-e-karam
panw ki dhul uthe aur mere sar tak aae

kyun pareshan hai tu ai mere gum-karda-e-rah
rah dushwar hai lekin mere ghar tak aae

pesh-khema tha yahi fath-o-zafar ka shayad
zer hote hue lashkar jo zabar tak aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close