zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe

zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe
ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe

dur tak sahil pe dil ke aablon ka aks tha
kashtiyan sholon ki dariya mom ke bahte rahe

kaise pahunche manzilon tak wahshaton ke qafile
hum sarabon se safar ki dastan kahte rahe

aane wale mausamon ko tazgi milti gai
apni fasl-e-arzu ko hum khizan kahte rahe

kaise mit paengi 'zarrin' ye haden afkar ki
tut kar dil ke kinare dur tak bahte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close